Saturday 31 October 2015

Yahin Hota Pyaar Hai Kya... 14

Raj neha ko ek achhe coffee shop pe lata hai or 2no baithke bate karne lagate,
Raj- nice coffee shop na, mai pahli bar kisi ladki k sath aaya hu to aaj ye coffee shop bhi achha lagne laga,

Neha- aap really pehli bar coffee shop me aaye hai,

Raj- arre nahi aaya to hu par kisi ladki k sath nahi, bs kabhi kabhi meeting se aata tha to bs kam ki hi bate karte the, aaj tumhare sath aaya hu to samjh me nahi aarha Kya baat karu..

Neha- isme itna sochnewali Kya baat hai kuch bhi puchiye 

Raj- hmmm... To miss neha aapki family me kon kon hai, kafi bhara pura parivar hoga na aapka bhai Behan, mummy papa, Dada dadi... Nahi...!

Neha- nhi itna bada parivar to nahi hai, bs 3 log hi hai meri family me...
Maa, diya meri choti Behan or mai bs...

Raj- or papa...

Neha- papa ki death ho gayi, akele maa ne hame apne balbute par bada kiya hai.

Raj- oh sorry....
Lo coffee aa gayi 

2no coffee pine lagte hai,

Neha- aap apni dadi k sath rehte hai na, aapko dadi bohot achhi hai.

Raj- tum mili ho unse...! Kab, kaha kaise..?

Neha- uss din jab aapke ghar aayi thi tabhi mili hu, 

Raj- ohh.. Haa meri dadi hai itni pyari k kisi ko bhi pasand aajaye, 
Mere baba k chale Jane k bad unhone hi muze sambhala, neha mai iss duniya me agar sabse jyada kisi ko pyar krta hu to vo mere baba hai, or unke bad dadi, ye 2log meri jindagi me bohot mayne rakhte hai, agar ye log nahi hote to pata nhi mai kaha Hota, baba bhale hi iss duniya me nhi ho par abhi bhi mere sath hai...

Neha- apne iss duniya se ja sakte hai par dil me unki yade hamesha sath chalti hai, mere papa bhi mere sath hai mai unhe har pal mehsus karti hu..

Raj- tumhe nahi lagata ki ham 2no ki soch kafi milti julti hai

Neha- haaa shayad...

Raj- shayad nhi, miltihi hai 100%

Or 2no bhi muskurane lage

Neha- sir ab aapki tabiyat thik hai naa koi medicines chalu hai ya band ho gayi

Raj- nhi shuru hai muze medicine khana bilkul bhi pasand nhi lekin ab dekho kitne mahino se vahi kha raha hu,  vaise ab kafi better feel kar raha hu varna ghar me to pura boar ho jata tha, aaj office aaya to mood ekdam fresh ho gya or uparse tum sabne Jo surprise diya vo to jaise sone pe suhaga ho gaya,

Neha- sir aap aise hi muskurate rahiye bohot achhe lagte hai, aapke chehre pe udasi bilkul bhi suit nhi hoti...

Raj- really....

Neha- haa sir really me...

Raj- tum muze sir sir karke q bula rahi ho..? You call me raj na, 
Mai yaha tumhara boss nhi hu to tum raj kahke bula sakati ho...

Neha- nhi ye Sab muzse itne jaldi nahi hoga, aapko pahle se hi sir bolneki aadat pad chuki hai to aise achanak aadat badal nahi jayegi...

Raj- ohh to muze tumhe aise hi roj coffee shop pe Lana padega, aadat mitane k liye...!

Neha- nahhhhi....

Raj- relax.... Majak kar raha tha
Chale kafi time ho gaya hai

Or neha sar hilate huye ha bol diya or vo 2no vahase chale gaye, or raj ne neha ek or surprise diya, use apne ghar le Jake or dadi se milake, raj k sath neha ko dekhkr dadi bhi khush ho gayi or kafi der tak neha raj or dadi k sath rahi, un 2no k sath neha kafi ghul mil gayi, raj k ghar Jake usne raj ka alag hi andaj usne mehsus kiya, vo dadi k sath bhi achhese bhul mil gayi or raj se bhi achhese bate karne lagi, 
Kafi din tak aisa hi chalta raha, raj ki feelings badhti jarhi thi, vo kisi na kisi bahane se neha ko cabin me bulata or use koi kam deke apne cabin me hi bithata, or use chori chori dekhte rahta..
Raj ko neha k sath bat karna, use dekhte raha achha lagta tha, jab kabhi vo neha ko nhi dekhta to bechain ho jata, jab use dekhta to dil ko chain milta tha...
Kafi dino tak Yahin silsila chal raha tha neha bhi raj ko noticed kar rahi thi,
Use bhi raj ki harkate achhi lagati, same raj k jaisa hi ham neha ka tha, vo to pehlese raj ko Pyaar karti thi, or jab raj bhi aisi harkte karne laga tha to uske khushi ka koi thikana nahi tha, vo to hava me udane lagi thi, jaise uske background me music bachne laga tha, in 2no ko bhi ye ehsas bohot pyara lagne laga tha, par raj abhi bhi confused tha vo khud nhi janta tha k vo Kya kar rha hai, use Kya ho raha hai....

To be continue....

No comments:

Post a Comment