Friday 30 October 2015

Yahin Hota Pyaar Hai Kya... 11

Neha ghar aati Hai to maa use puchti Hai use aneme itni der q ho gai to neha bolti Hai ki office ki meeting thi iss liye der ho gai, maa use puchti Hai k vo aaj kal much khoi khoi si rahi Hai koi bat Hai Kya Jo use pareshan kar rahi Hai to neha kahti Hai aisi koi bat nahi bs kam ka stress Hai, or bina kuch khaye hi apne room me Jake so jati Hai.
Agle din neha ready hoke office k liye nikalti Hai usne resignation letter tayar karke rakha tha vo us letter ko dekhti Hai or sochti Hai k letter le jaye ya nahi or kuch der bad vo letter takiye k niche rakh kr chali jati Hai,
Raj ki accident ki khabar pure media me hava ki tarha fail jati Hai or raj ki dead ho gayi aisi afvaye media wale TV pe dikhate Hai iss vajah se raj ki company k share's girne lagte Hai or office k sabhi employees or board members tention me aate Hai vo iss problem se kaise nipte iss bat pe discuss karte Hai, Sara office tension me rahta Hai tabhi neha
Office me pohchti hai anjali use aake kahti k use meeting room me bulaya Hai or vo vaha jati hai , board members decide karte hai k neha ko general manager bana chahte Hai q k raj k absence me vo hi office ka Sara kam achhese sambhal sakti hai , usne raj k sath bohot se project par kam kiya hai iss liye use achha experience Hai to vo ab office ki general manager ki post sambhale, neha k liye to ye shocking news thi q ki vo yaha resign karneke bare me soch rahi thi or ab kaha use manager banaya ja raha tha, par vo vahi bat dusri angel se sochti hai , abhi iss company k shares raj k accident k vajah se girne lage the or iss company ko sambhalne k liye neha iss post k liye haa bol deti hai. Or khud apne aap se bat karti hai
Neha- ho na ho meri vajah se hi raj sir ka accident huva Hai, mai kitni selfish hu yaar muze taklif na ho iss liye mai ye job chhodna chahti thi jab k iss job k vajah se hi mai aaj iss mukam pe hu, ab or nhi mai apna kam ab puri imandari k sath karungi or company k logo ne Jo vishvas muzpe dikhaya Hai uss pe khari utrungi or shayad tabhi mai apne aap ko maf kar paungi.....
Haa aajse meri sirf ek hi duty Hai or vo mai honesty k sath nibhaungi, abki bar mere or mere kam k bich me meri feeling kabhi nahi aayegi, ab mai apne sapne pure karungi, muze iss duniya me apna naam banana hai , or yahi vo chance Hai Jiska muze pura fayda uthna hai,,,,,
Ab neha ne apne aap ko puri tarha se prepare kar liya k ab uska kam hi uska Sab kuch Hai or ek nayi ummid k sath usne cabin k bahar kadam rakha..
Uske chehre pe koi pareshani koi tension nahi tha, uska face glow kar rha tha, ek ajib si energy uske andar aa gai thi.
Neha k general manager ki baat pure office me fail gayi Sab logone use congrats wish kiya or neha ne sare employees se baat ki....
Neha- thanx guys....
Muze aap sabka support chahiye dekhana ham Sab milke iss company ki vahi reputation vapas layenge, raj sir ne apni jindagi ki ladhai jeet li Hai, ab hame apni ladhai jeetni Hai,
Raj sir jab bhi office me kadam rakhe to unhe kuch bhi change nahi milana chahiye, ham sabko bohot mehnat karna Hai or company ko ussi unchayi pe le Jana Hai jiss unchyi pe vo thi, bs himmat nahi harni hai.....
Are you ready guys........
Neha ki bate or uske ander ki energy dekhakar sabke ander bhi energy aajati Hai, or Sab log ek nayi utsah k sath apne apne kam pe lag jate Hai.....
Or yaha raj bhi dhire dhire thik hone lagata Hai par vo hospital me hi treatment leta Hai q k vo puri tarha thik nahi Hota iss liye use discharge bhi nahi kiya jata, dadi roj raj k pass rahti Hai or raj hamesha dadi ko office k bare me puchta Hai par dadi uske sawalo k jawab bilkul bhi nahi deti, vo kahti Hai
Dadi- pahle tum achhese thik ho jao fir office k bare me puchana, apni halat to dekho beta Kya ho gayi Hai or ye halat sirf or sirf kam kam kam bs kam ki vajah se huyi Hai iss liye Maine office k kisi bhi member ko tumse milneki permission nahi di hai, q k muze achhese pata hai agar koi office ka member yaha aata to tum hospital me hi apna office khol dete....
Raj- kisi bate kar rahi hai dadi maa aap muze kuch to information honi chahiye na office ki 
Dadi- koi jarurat nahi jab tak tum achhese thik nahi ho jate tab tak tum office ko apne dimag se nikal do
Neha office ko bohot achese Handel karti hai or kuch dino me hi office ki vahi reputation hasil karti hai, neha ki lagan or mehnat ko puri company k log dad dete hai usne kitne aasani se iss problem se sabko bahar nikal.....
Jab dadi company ki news TV pe dekhati hai to unke chehre pe muskan aati hai, vo dadi hi hai jinhone neha ko manager banaya jaye aisa board members ko suggest kiya tha q ki unhone neha ki aankho me vo sachhayi dekhi thi jiske bare me neha khud bhi nahi janti thi...
Din bitate gaye raj ki bhi recovery fast hone lagi or use discharged kiya gaya par use bed rest diya doctors ne iss liye vo office nahi ja sakta tha,
Jab neha ko ye bat pata chali to uski khushi ka koi thikana nahi tha...

To be continue.......

No comments:

Post a Comment