Monday 4 January 2016

Hote Hote Pyaar Ho Gaya..9

Sooraj kitchen me aake sochta hai kya banaye khane me,, vaise to usse kuch bhi banana nahi aata, par vo kuch banane k liye try karta hai, usse gas bhi shuru karna nahi aata,, par vo gas ko shuru karneki koshish karta hai, par ho hi nahi pata, apna sar khujate huye sochhta hai k usse gas bhi chalana nahi aata to khana kya khak banega, Priya kitchen k diwar k pichhe se sab dekh rahi thi, sooraj ko aise dekhkr vo hansne lagi, vaise hi sooraj ne usko dekha,

Sooraj--  tum,,,,,, tum yaha kya kar rahi ho, tumhe bed se utarne k liye bhi mana kiya tha naa, par tum to tum ho, meri kahi huyi baat kabhi sunogi,,,

Priya--  sorry,,,, but aapko to gas bhi shuru karna nahi aata, to khane k liye kuch banana dur hi hai,,,
Iss liye keh rahi thi k khana mai bana leti hu,,, hatiye mai banati hu kuch

Sooraj--  koi jarurat nahi hai OK,,
Mai bana lunga, kuch karna hi hai to chupchap yaha baitho or mujhe guide karo, baki sab mai sambhal lunga

Priya--  sure naa,,,,

Sooraj-- hmmm,,,,

Priya--  par abhi jaldi me kya banega,,

Sooraj-- nudels banenge,, bs 2minit me

Priya gas lagana batati hai, or baithe baithe sooraj ko guide karti hai, sooraj ko aise kam karte huye dekh kar man hi man muskurati hai, usse chori chori dekhti hai, jab sooraj ki najar uspar padti hai, to apni palke nichi kar leti hai,
Sooraj Priya ki iss harkat ko mehsus kar raha hota hai, par vo usse kuch nahi keh pata,

Sooraj-- finally,,,,,, kuch bana to sahi or vo bhi mere hatho se, chalo taste krke dekhta hu,,,,
Wow,, muze pata nahi tha mai itna achha cook hu,,,

Priya--  aapko yaad ho to, aapki biwi bhi yaha baithi hai, khane k intjar me,,,

Sooraj--  ha ha pata hai, tumhare liye hi to banaya hai,, ruko deta hu,,

Priya--  nahi, yaha nahi, koi aayega to thik nahi lagega, kamre me chalte hai, vaha aaram se khayenge,,

2no bhi kamare me Jake maje se nudels ka khate hai,,,

Priya-- hmm,,, yammi,,,
Aapne to sach me kitna tasty banaya,, itna tasty to mere hatho se bhi nahi banta, sooraj ji aap to kafi achhe cook nikle,,

Sooraj-- kaha achha cook,,, ye to tumne hi bataya naa iss liye banake ready ho gaya,, thanks too you,,,

Priya--  haa lekin taste to aapke hatho ka hi hai,,

Sooraj--  OK thanks,,

Priya-- ek baat puchuu,,,

Sooraj-- haa puchho

Priya--  aapne ye shadi apni marji se nahi ki hai naa,

Sooraj--  nahi, maa ne or dadi ne muzpe jor dala issliye Maine ye shadi ki,,,

Priya-- kya aap kisi or ko chahte Ho

Sooraj-- chahta tha, ab sirf nafrat karta hu, itni nafrat ki uss nafrat ki aag me mai khud jal raha hu,,,

Priya-- kyu aisa kya ho gaya k aapke andar itni nafrat paida ho gayi,

Sooraj--  nahi bata sakta,,, aaj tak Maine kisiko nahi bataya or shayad mai tumhe bhi naa bata pau,,,

Priya--  dil kar dard juban pe aane dijiye tabhi aapko achha lagega,, aaise andar hi andar ghutate rahenge to taklif or padegi,,,

Sooraj-- bs yahi meri jindagi hai, log sans leker jite hai, or mai iss taklif ko yaad karke jita hu,, mai darta hu kisisko kuch batane me kyu k agar Maine apna card kisike sath banta to kahi mai kamjor naa pad jau or ro naa du,, or mai rokar apna dil halka nahi kar Sakta,,, 

Priya--  par kyu sooraj ji, kya aap jante hai,, aapki yu istarha andar andar hi ghutate rehna aap k sath sath aapke pariwar ko bhi taklif de raha hai,, aap kyu itna dard apne andar chhupaye baithe hai,, isse juban pe aane dijiye sooraj ji please,,,,

Sooraj--  kyu tum mere jakhm kuredna chahti ho,, ye dard agar bahar aagaya to mai apne aap ko sambhal nahi paunga, ek bar fir tut jaunga,,

Priya-- thik hai, agar aapko yahi sahi lagta hai to mai aapko force nahi karungi,, par itna jarur kehna chahungi k hamari jindagi sirf hamari akele ki nahi hoti, balki hamse Jude har uss insan ki hoti hai Jo hamari care karta ho, hame Pyaar karta ho, 
Agar ham khudko taklif de rahe hai iska matlab ham in sabko bhi taklif dete hai Jo hamse Jude hai,,,

Sooraj-- janta hu issiliye to aaj jinda hu warna pata nahi mai apne aap ko kya kar baithta,,, 
Chhodo ye sab, tumhari tabiyat thik nahi hai naa,, fir ye sari faltu baate kyu nikal rahi ho, ab so jao chupchap OK, 

Priya-- OK good night

2no bhi apne apne bed pe let jate hai, par 2no ko nind hi nahi aati, 2no bhi bs karwate badlte rehte hai, 2no k dimag me bs ek baat chal rahi hoti hai uss nafrat k bare me,,,

To be continue....

No comments:

Post a Comment