Monday 14 December 2015

Hote Hote Pyaar Ho Gaya.. 7

Priya ko apna saman rakhne k liye alamari me jaga nahi rehti, puri alamari sooraj k hi kapdo se bhari hoti hai, iss liye vo apna saman or kapade bag me hi rakhti hai, jab sooraj kamare me aata hai to Priya se puchta hai,,

Sooraj-- tumne apna saman almari me q nahi rakha,,,

Priya-- almari me jaga hi nahi hai,,,,

Sooraj-- to kisi servant se kehke almari khali kar leni chahiye thi,,,,,,
Ruko mai hi khali kar deta hu,,
Priya apna saman almari me rakh deti hai,,, utneme uske ghar se landline pe phone aata hai, iss liye vo niche hall me aati hai or sabse baat karti hai,,, tab usse pata chalta hai k uske bhai ko ek bade company me job mil gayi hai,,,
Uski maa batati hai k sooraj ne Vikas ko job dilvayi,,, aaj tak Vikas ne dar dar ki thokare khayi par aaj kisi bade aadmi ki pehchan se hi job mil gayi, or ye sab tumhare faisle ka natija hai,,, 
Ye sunkar priya bohot khush hoti hai,,,
Usse lagta hai k usne ye shadi karke bilkul sahi kiya hai,,,,
Priya kamare me jati hai or sooraj se baat karti hai,,,

Priya-- thanks,,,,

Sooraj-- for what,,,

Priya-- abhi maa ka phone aaya tha, usne bataya k bhaiya ko job mil gayi,, or vo bhi aapke vajah se, iss liye thanks again,,

Sooraj-- haaa vo muze aaj uss office me dikhe to Maine unse baat ki, unke documents dekhe,,, or vo kabil the uss job k iss liye vo job mili,,,

Priya aaj bohot khush thi, kahi naa kahi uske dil se apne pariwar ka thoda bojh utar gaya tha,,,,
Priya Malhotra family me adjust karne ki puri koshish kar rahi thi or uska pura support dadi or manisha kar rahe the, unhone kabhi sanju or Priya me fark nahi kiya, Priya iss ghar me dhire dhire ghul mil rahi thi, iss ghar k tour tarike Sikh rahi thi,, to dusri taraf sooraj or uske bich kuch bhi aage nahi badh raha tha, naa to Priya usse baat karti, naa sooraj. 
2no ek hi kamare me ajnbiyo k tarah rehte the,, kuch dino me in 2no k bich ki duriya koushlya or manisha ko mehsoos hone lagi, or iss baare me unhone Priya ko akele kamare me bulake baat ki,,,

Priya-- dadi maa,, aapne muze bulaya,,

Koushlya-- haa Priya, aao andar,
Priya aaj tumhe hame kuch batana hai,,,

Priya-- haaa bataiye naa, kya baat hai

Koushlya-- ham jante hai beta ye shadi hamne bohot juld baji me kar di, iss liye tum or sooraj ek dusre k bare me kuch nahi jante,, or shadi jaise rishte me ek dusre ko janana, ek dusre ko samjhna bohot jaruri hota hai,,, or iss shadi me hamane tum 2no ko ye chance hi nahi diya,,,
Sach kahu to iss shadi k liye hamne sooraj ko bohot force kiya, usne sirf hamare khatir shadi k liye haa ki thi,,

Manisha-- priya jis sooraj ko aaj tum dekh rahi ho naa, darsal vo hamara sooraj hai hi nahi,,,
Ye dekho uske kuch videos,,,
Ye hai hamara sooraj,, hamesha muskurata huva,sabki problem ek chutki me solve karta, kisi rote huye insan ko bhi hasa de aisi bate karta tha, vo hota tha naa to ghar me rounak si lagi rehti thi,,,,,
Par pata nahi mere sooraj ko kiski najar lag gayi, jab se foreign se vapas aaya pura badal hi gaya, uske hotho ki hansi hi gayab ho gayi, koi nahi janta k vaha uske sath kya huva,, kyu vo itna change ho gaya,,,

Koushlya-- or hame janana bhi nahi hai,,, jis vajah se mere ghar k sooraj pe grahan laga hai, vo vajah ham nahi janana chahte,,,
Bs Priya tum hi ho Jo hamare sooraj ko hame louta sakti hu,, shayad tumhare Pyaar se uski vo 2sal ki khai mit jaye,, or uske sath Jo bhi huva vo bhul jaye,,, or vo pehle k taraha hansane bolne lage,,,
Agar tum apna kadam aage badhaogi to hi kuchh ho payega,,,,,

Manisha-- bolo naa beta tum kadam badhaogi naa,,,,? Hame hamara sooraj loutaogi naa,,,,?  

Priya-- haaan maa,,,, mai apne taraf se puri koshish karungi,,, aapne Jo muzpe vishvas dikhaya hai, uspe khari utarneki koshish karungi,,,, 

Koushlya-- thank you beta,,,,
Or tum apne family ki chinta mat karo,, mai janti hu tumhe sabse Jada apne pariwar or unke khushiyo ki parva hai,,
Ham unhe sari khushiya dene ki puri koshish karunge,,,,

Manisha-- Priya hamne tumhare family k liye ek ghar kharida hai,,, ham jante hai beta tumhare ghar wale bohot svabhimani hai, or tum bhi,,,
Ham ye sab dekar tumhe niche dikhana yaa svabhiman ko thes pohchana nahi chahte, naa hi ham ehsan kar rahe hai,,, 
Par tumhari family vaisi life deserve nahi karti,,, issiliye hamne ye ghar kharida hai,,, hamne iske bs aadhi rakam hi chukayi hai, aadhi vo log chuka denge, ham jante the k tum isse svikarogi nahi issiliye hamne aadhe paise bhare,,,

Koushlya-- please Priya naa mat kehna beta,,, itne dino me tumne hame jara sa bhi apna samjha ho to jarur ye chabiya logi,,,

Priya-- thank you dadi maa,,,
Agar mai or mere bhai Behan jindgi bhar bhi kamayi karte naa to bhi ek ghar nahi kharid pate,,,,

Manisha-- thank you to hame tumhe kehna chahiye beta k tumne hame samjha,,,,
Ab ye chabiya leke apne ghar chali jao,,, vahase driver tum sabko naye ghar me me jayega,,,,

Priya ne apne aansu poch liye or vahase chali gayi,,,,,
Ab vo apne ghar aayi sabse mili,,,
Or sabke samne usne naye ghar ki baat batayi ,, ye sunkar to sab khush ho gaye par Priya k pita ne ye ghar lene se mana kiya, tab Priya ne unhe samjhaya,,,

Priya-- papa mai aapki Priya hu, aapke aadarsho pe chalne wali,,, agar muze kuch galat lagta to mai hi ye chabiya lekar yaha nahi aati,, 
Ye ghar unhone hame tofe me nahi diya hai,,, bs hamari madat ki hai ghar lene me, iske paise bhi hame hi chukane hai,,

Priya k sath sath ghar k sabhi members ne ramesh ko manaya or vo sab naye ghar me chale gaye,,,
Vo ghar bhi kafi bada or aalishan tha,,
Sab logo k hisab se unke separate kamare the,,, usme unka Sara jarurat ka saman tha,,, uss ghar me kisiko bhi koi kami nahi thi,,, 
Ye sab dekhkar Priya ko bhi achha laga, k uska pariwar bhi ab ek achhi jindagi jiyega,,, or uska sapna pura hota huva usse najar aaya,,,,

To be continue........

No comments:

Post a Comment